Wednesday 1 July 2009

nakkalo ka adda............agra

13 june ki subah newpaper padh kar hum sabhi agra vasi sakte me the,.hote bhi kyo na,khabar hi kuch aisi thi ki.......jharna nale ke jungle me janwaro ki charbi ghee me milayi ja rahi hai...vaha chapa marne par police ko bade bade kadhaye me chrbi ubalti hui mili,jabki sabhi aaropi bhag nikle........
is dil ko kampa dene wali khabar ke baad sab jagah bas yahi charch sunai deti rahi.......logo ne ghee khana band kar diya hai.par kab tak?prashn to ye hai ki un aaropiyo ka kya kiya jayega?kya unhe sakht se sakht saja di jaa sakegi?manav-jeevan se itna bada khilwad?aur sirf manav hi kyo,un hajaro pashuo ka kya jo bali chadhaye gaye?suna ki mikhya aaropi ne aatmsamarpan kar diya hai.....is ghatna ke virodh me bjp sansad manniya katheria ji bhookh hadtal pe baith gaye the............
ab dekhna ye hai ki unki hadtaal ka,agra band ka kya asar padta hai......aropeeo ko kya saja milti hai..............
aap sabki kya rai hai?itna kutsit karya karne walo ke saath kya hona chahiye?aur sarkaar kya kadam uthaye ki is tarah ka karya bhavishya me koi na kar sake?

No comments:

Post a Comment