Thursday 23 July 2009

hume garve hai ki hum bhartiya hai.

hume bhartiya hone par garv karne ke anginat karan hai.......humari sanskriti,sabhyata,parampara ka sirf humare deshwasi hi nahi apitu ab to videshi bhi samman ki drishti se dekhne lage hai.......
videsho me bhartiya sanskriti ki dhoom hai..............
isi kadi me hume garv karne k liye aur vajah mil gayi hai vo ye ki jo british compnies bharat me kaam karna chahti hai,unke karyakari adhikariyo se ye kaha gaya hai ki bharat jaane se pahle ve bharatiyo ke taur-tarike seekh le.......khas taur par is baat par jor diya hai ki bhartiya mahilaon ka abhivadan karne ke liye namaste bole,na ki kiss kare......iske liye bakayeda ek hufte ka krash coarse karaya gaya.. to ye vakai hum logo ke liye sochne ka vishye bhi hai ki videsho me yaha ki sabhyata ko jan ne -samajhne par jor diya ja raha hai aur humare yaha kitne hi log pashchimi sabhyata ka andhanukaran kar rahe hai........vaha ke rahan sahan aur vaha ke dressess pahan ne me badi shaan samajhte hai.....aise logo ko ye samajhna hi hoga ki humari bhartiya sanskriti hi anukarniya hai.na ki pashchimi sabhyata ki...... .

No comments:

Post a Comment