Tuesday 6 November 2012

Wednesday 29 August 2012


जिंदगी की राहें: एक सफ़र

जिंदगी की राहें: एक सफ़र..........humari bhi bahut bahut shubhkaamnaaye hain mukesh ji...n ye dua hai ki aap lekhan k kshetra me yu hi apni vishisht pahchaan banaye rakhe....

Thursday 28 July 2011

fir se baarish ka mausam aaya hai,,,,,,
rimjhim fuhaaro ki saugat laaya hai........
sondhi sondhi khushboo mitti ki
meethi meethi yaade sakhiyo ki,
vo saath me baith ke batiyaana,
garmagaram pakode banana-khilana..
sab kuch saath samet laaya hai..
fir se baarish ka mausam aaya hai....

Tuesday 27 July 2010

ab fir se samay hai samaan utha kar chal dene ka.pati ki transferabls job me jaha naye naye shahro ko dekhne ka mauka milta hai,vahi ek shahar me logo k saath bitaye palo n unki yaado ka jakheera bhi hota hai.......bahut kuch naya milta hai to kaafi kuch achcha peeche bhi choot jata hai.....fir se naya mahoul,naye mitra,nayi colony,nayi sadke n nayi mandiyaan....jab tak sabse achcha taalmel baith patahai,fir se saath chootne ka dar n gum satane lagta hai.............khair isi ka naam to jindgi hai..

Tu Kitni Achhi Hai - Nirupa Roy & Mahesh - Raja Aur Runk

Thursday 23 July 2009

hume garve hai ki hum bhartiya hai.

hume bhartiya hone par garv karne ke anginat karan hai.......humari sanskriti,sabhyata,parampara ka sirf humare deshwasi hi nahi apitu ab to videshi bhi samman ki drishti se dekhne lage hai.......
videsho me bhartiya sanskriti ki dhoom hai..............
isi kadi me hume garv karne k liye aur vajah mil gayi hai vo ye ki jo british compnies bharat me kaam karna chahti hai,unke karyakari adhikariyo se ye kaha gaya hai ki bharat jaane se pahle ve bharatiyo ke taur-tarike seekh le.......khas taur par is baat par jor diya hai ki bhartiya mahilaon ka abhivadan karne ke liye namaste bole,na ki kiss kare......iske liye bakayeda ek hufte ka krash coarse karaya gaya.. to ye vakai hum logo ke liye sochne ka vishye bhi hai ki videsho me yaha ki sabhyata ko jan ne -samajhne par jor diya ja raha hai aur humare yaha kitne hi log pashchimi sabhyata ka andhanukaran kar rahe hai........vaha ke rahan sahan aur vaha ke dressess pahan ne me badi shaan samajhte hai.....aise logo ko ye samajhna hi hoga ki humari bhartiya sanskriti hi anukarniya hai.na ki pashchimi sabhyata ki...... .