Tuesday, 30 June 2009

logo me atmhatya ki badhti pravriti

aaj ke paper me front page per news thi...ek hi parivar k panch logo ne maut ko gale lagane ki koshish ki.......aisi khabar man aur mastishk dono ko hi hila kar rakh deti hai.aisi khabar aaj aam hoti ja rahi hai..khabar to ek hai bas,karan,sthan aur paristhitiyo me thoda antar hota hai....is khabar ko padh kar man sochne ko majboor ho gaya ki aakhir kaun se tatva hote hai jo is kam ke liye prerit karte hai.aaj ki jo khabar hai ,usme to sirf ghar k mukhiya ko hi pata tha ki vo kis kaam ko anjaam dene ja raha hai.sab sadasyo ko ek ek pudia de kar kaha ki pooja ki bhabhuti hai,kha lo.teen logo ne bas chutki me le kar chat liya,bach gaye..lekin do ki maut ho gayi....
parivaar khush hal tha,koi aarthik tangi nahi thi,koi karze bhi nahi tha,,,,,phir itna bada kadam kyo????????????????
kyo akhir aj jyada tar logo me aisi pravriti panapti ja rahi hai?student ka paper kharab hua,atmhatya.......,manpasand saathi nahi mila,atmhatya,........jara sa haath tang hua,atmhatya..... aaj sab me dhairya ka nitant abhav hota ja raha hai ....iske pramukh ghatak kya hai ?aaj ki badhta bhotiktavad ya phir ekal parivaar?mere vichar se to dono hi karak hai.kyoki pahle samaaj me sammilit parivaar hote the jo apne sukh-dukh aapas me baat lete the aur samasyo ka nirakaran kar lete the.koi akela hota hi nahi thajo is tarah ke vichar dimag me upaj pate...na hi bhotik vastuo ka bolbala tha ki na hone par insaan dukhi ho paaye....seedhi sadhi jindgi.............
ab aap bhi bataye is samsya ka nirakaran kis prakaar se ho,humari kya bhoomika honi chahiye?

No comments:

Post a Comment